aisa lagta hai jaise puri hai
ye kahani magar adhuri hai
hijr to KHair us ka lazim tha
wasl bhi ab bahut zaruri hai
meri aankhon ke jurm mein shamil
un nigahon ki be-qusuri hai
mere alfaz ho rahe hain KHarch
qaum ki muft mein mashhuri hai
yun mera taj-o-taKHt chhin liya
jaise wo sher-shah-suri hai
in dinon us ke samne dil ki
ji-huzuri hi ji-huzuri hai
kis qadar shoKH kar diya mujh ko
ishq miTThu-miyan ki churi hai
Ghazal
Aisa lagta hai jaise puri hai
Zeeshan Sahil