ainak ke donon shishe hi aTe hue the dhul mein
hath paD gaya kanTon par phulon ke badle bhul mein
chhute hi aashaen bikhrin jaise sapne TuT gae
kis ne aTkae the ye kaghaz ke phul babul mein
ishq ke hijje bhi jo na jaanen wo hain ishq ke dawedar
jaise ghazlen raT kar gate hain bachche school mein
ab raaton ko bhi bazaron mein aawara phirte hain
pahle bhanwre ho jate the band kanwal ke phul mein
moTi Dalon wale peD ke patte kaise pile hain
kis ne dekha kaun rog hai chhupa hua jaD mul mein
Ghazal
Ainak ke donon shishe hi aTe hue the dhul mein
Ameeq Hanafi