اردو हिंदी
Ai soz-e-darun rang-e-wafa aur hi kuchh hai | Shaahi Shayari
ai soz-e-darun rang-e-wafa aur hi kuchh hai

Ghazal

Ai soz-e-darun rang-e-wafa aur hi kuchh hai

Ishaq Athar Siddiqui

;

ai soz-e-darun rang-e-wafa aur hi kuchh hai
ab dil ke dhaDakne ki sada aur hi kuchh hai

kuche mein tere shor-e-fughan kam nahin lekin
darwesh-e-dua-go ki sada aur hi kuchh hai

dilkash hai bahut pairahan-e-lala-o-gul bhi
lekin tera andaz-e-qaba aur hi kuchh hai

jaise kisi mausam ka guzar hi na raha ho
kuchh din se zamane ki hawa aur hi kuchh hai

daur-e-tarab-angez-chaman KHub hai lekin
be-halqa-e-gul raqs-e-saba aur hi kuchh hai

nazrana-e-jaan bhi nahin haq-dar-e-tawajjoh
shayad tera dastur-e-wafa aur hi kuchh hai

lahje to bahut shoKH hain rangin-suKHanon ke
'athar' tera uslub-e-nawa aur hi kuchh hai