ai shahr-e-KHirad ki taza hawa wahshat ka koi inam chale
kuchh harf-e-malamat aur chalen kuchh wird-e-zaban dushnam chale
ek garmi-e-jast-e-farasat hai ek wahshat-e-pa-e-mohabbat hai
jis panw ki taqat ji mein ho wo sath mere do-gam chale
aaise gham-e-tufan mein akasr ek zid ko ek zid kaT gai
shayad ki nahang-asar hawa kuchh ab ke harif-e-dam chale
jo baat sukut-e-lab tak hai us se na ulajh ai jazba-e-dil
kuchh arz-e-hunar ki lag rahe kuchh mere junun ka kaam chale
ai wadi-e-gham ye mauj-e-hawa ek saz-e-rah-e-saparan hai
rukti hui rau KHwabon ki koi ya subh chale ya sham chale
tujh ko to hawaon ki zad mein kuchh raat gae tak jalna hai
ek hum ki tere jalte jalte basti se charagh-e-sham chale
jo naqsh-e-kitab-e-shatir hai us chaal se aaKHir kya chaliye
khele to zara dushwar chale haare bhi to kuchh din nam chale
kya nam bataen hum us ka namon ki bahut ruswai hai
kuchh ab ke bahaar-e-taza-nafas ek daur-e-wafa be-nam chale
ye aap kahan 'madni'-sahib kuchh KHair to hai mai-KHana hai
kya koi kitab-e-mai dekhi do ek to daur-e-jam chale
Ghazal
Ai shahr-e-KHirad ki taza hawa wahshat ka koi inam chale
Aziz Hamid Madni