ai sajan waqt-e-jaan-gudazi hai 
mausam-e-aish-o-fasl-bazi hai 
in chakoron se dur rah ai chand 
qaul ushshaq ka namazi hai 
is qalandar ki baat sahl na bujh 
ishq ke fan mein faKHr-e-raazi hai 
ham-qarin mujh na kar raqiban sun 
taur yaron ki pak-bazi hai 
aashiqan jaan-o-dil ganwate hain 
ye na taur-e-zamana-sazi hai 
'faez' us KHush-ada sirijan pas 
be-gunahan ka qatl bazi hai
        Ghazal
Ai sajan waqt-e-jaan-gudazi hai
Faez Dehlvi

