ai saqi-e-mah-wash gham-e-dauran nahin uThta
darwesh ke hujre se ye mehman nahin uThta
kahte the ki hai bar-e-do-alam bhi koi chiz
dekha hai to ab bar-e-gareban nahin uThta
kya mere safine hi ki dariya ko khaTak thi
kya baat hai ab kyun koi tufan nahin uThta
kis naqsh-e-qadam par hai jhuka roz-e-azal se
kis wahm mein sajde se bayaban nahin uThta
be-himmat-e-mardana masafat nahin kaTti
be-azm-e-musammam qadam aasan nahin uThta
yun uThti hain angDai ko wo marmarin banhen
jaise ki 'adam' taKHt-e-sulaiman nahin uThta
Ghazal
Ai saqi-e-mah-wash gham-e-dauran nahin uThta
Abdul Hamid Adam