ai nasim-e-sahari hum to hawa hote hain
dam jo ghuTta hai mohabbat mein KHafa hote hain
hum faqirana ghazal kahte hain ai shah-e-jahan
KHair ho KHair ho masruf-e-dua hote hain
bahr-e-alam mein ye insan hain manind-e-habab
dam mein bante hain ye dam-bhar mein fana hote hain
hum gharibon ko na is bazm se uThwa ai but
sohbat-e-am mein KHasan-e-KHuda hote hain
hum mein aur un mein baDha rabta 'aKHtar' itna
hum pe wo sadqe hain hum un pe fida hote hain
Ghazal
Ai nasim-e-sahari hum to hawa hote hain
Wajid Ali Shah Akhtar