ai KHuda tu hi mujhe chahne wala dena
ek fankar hun shohrat ke ujale dena
chup rahun logon ki dushnam-taraazi par main
baKHshna nutq mujhe zabt ke tale dena
a jahan walo suno waqt ka suqraat hai wo
ab zaruri hai use zahr ke pyale dena
bhejna nuri parindon ko jahan mein yarab
dur kar dena andhere ko ujale dena
chand tahrik humayun, nahin chhapte ab to
a mudiran-e-adab achchhe risale dena
kya naya sher-o-adab kya hai classici ghazal
bahs mein 'ram' ke sheron ke hawale dena

Ghazal
Ai KHuda tu hi mujhe chahne wala dena
Ram Daas