ai jazb-e-mohabbat tu hi bata kyunkar na asar le dil hi to hai
sidhi bhi chhuri TeDhi bhi chhuri dil-doz nazar qatil hi to hai
jab huk uThegi taDpega insaf na chhoDo dil hi to hai
na-chand thakan ka sabr-o-sukun bismil aaKHir bismil hi to hai
tufan-e-bala ki maujon mein kin band aankhen aur phand paDe
kashti ne jahan Takkar khai dil bol uTha sahil hi to hai
hai zarf yahan kis ka kitna dil bas hai usi ka paimana
rona bhi bura hansna bhi bura jo baat hai wo mushkil hi to hai
na-KHush hai to kya hai KHush hai to kya jaisa bhi sahi hai tu apna
ye sath nahin chhuTne wala be-kas ka sahaara dil hi to hai
hain maut ke is jine mein maze gham jis ko na ho wo kya samjhe
jab sabit karte ban na paDe jo dawa hai baatil hi to hai
thi KHizr-e-tariq uftad yahan aur sang-e-hawadis sang-e-nishan
had rah-e-talab ki aa gai han jata hai kahan manzil hi to hai
dukh de ke ulTe dena kya fariyaad natija hai gham ka
jab Thes lagi shisha Thanka patthar na samajhiye dil hi to hai
aap 'arzu' ab KHamosh rahen kuchh achchhi buri khul kar na kahen
hain jitne munh itni baaten mahfil aaKHir mahfil hi to hai
Ghazal
Ai jazb-e-mohabbat tu hi bata kyunkar na asar le dil hi to hai
Arzoo Lakhnavi