ai intizar-e-subh-e-tamanna ye kya hua
aata hai ab KHayal bhi tera thaka hua
pahchan bhi saki na meri zindagi mujhe
itni rawa-rawi mein kahin samna hua
chamka sake na tira-nasibon ki raat ko
hamraaz hain tere mah-o-anjum to kya hua
mujh se kahin mila gham-e-dauran to is tarah
jaise meri tarah se hai wo bhi thaka hua
'jami' faza-e-mausam-e-gul yun udas hai
jaise kahin qarib koi hadsa hua
Ghazal
Ai intizar-e-subh-e-tamanna ye kya hua
Khurshid Ahmad Jami