ai ham-nafas us zulf ke afsane ko mat chheD
bas silsila jumban na ho diwane ko mat chheD
jis rang se hai dil mein mere ishq ruKH-e-yar
naseh na ho diwana pari-KHane ko mat chheD
wo sham-e-majalis to hai fanus mein raushan
ai ishq tu mujh soKHta parwane ko mat chheD
to aap hai paiman-shikan is daur mein saqi
kahta hai mujhe bazm mein paimane ko mat chheD
tarwar se kya hum ko Daraata hai miyan ja
yan aap se maujud hain mar jaane ko mat chheD
hamdam na kah us waqt ki bose ki talab kar
majlis mein mujhe galiyan dilwane ko mat chheD
manzur agar chheD hansi ki hai to pyare
hote 'muhib' apne ke to begane ko mat chheD
Ghazal
Ai ham-nafas us zulf ke afsane ko mat chheD
Waliullah Muhib