ai gard-baad tarf-e-chaman Tuk guzar kar
bulbul ke par paDe hain gulon par nisar kar
aae the aish ke liye so tu na yan mila
phir gham-kada ko uTh chale hum apne haar kar
kya muskura ke Tale hai ab phir kab aaega
dil be-qarar hota hai kuchh to qarar kar
daghon se dil ke sina to hai rashk-e-lala-zar
han ashk-e-surKH tu bhi to apni bahaar kar
dhajji bhi ek chhoDi na daman-o-jeb ki
dast-e-junun ne luTa mujhe tar tar kar
wo bhi na aaya aur nazar aane se rah gaya
dekha maza na aur dil ab intizar kar
be-chiz to nahin ye 'hasan' us gali mein roz
ja ja ke baat karte har ek se pukar kar
Ghazal
Ai gard-baad tarf-e-chaman Tuk guzar kar
Meer Hasan