ai dida KHanuman tu hamara Dubo saka
lekin ghubar yar ke dil se na dho saka
tujh husn ne diya na kabhu mufsidi ko chain
fitna na tere daur mein phir nind so saka
jo shama-tan hua shab-e-hijran mein sarf-e-ashk
par jis qadar main chahe tha utna na ro saka
'sauda' qimar-e-ishq mein shirin se kohkan
bazi agarche pa na saka sar to kho saka
kis munh se phir tu aap ko kahta hai ishq-baz
ai ru-siyah tujh se to ye bhi na ho saka
Ghazal
Ai dida KHanuman tu hamara Dubo saka
Sauda Mohammad Rafi