اردو हिंदी
Ai but jo shab-e-hijr mein dil tham na lete | Shaahi Shayari
ai but jo shab-e-hijr mein dil tham na lete

Ghazal

Ai but jo shab-e-hijr mein dil tham na lete

Muneer Shikohabadi

;

ai but jo shab-e-hijr mein dil tham na lete
kalma mein bhi hota to tera nam na lete

zid par agar aa jaen hum ai rashk-e-masiha
mar jate magar munh se tera nam na lete

kaamil koi milta jo KHaridar-e-dil-o-jaan
ye jins yunhi bechte hum dam na lete

kyun hashr mein diwana hamein kah ke pukara
nafrat thi to ab bhi wo mera nam na lete

wahshat-kada-e-dahr mein chalta jo bas apna
dushman se mohabbat ke siwa kaam na lete

jarob-kashi milti agar karb-o-bala ki
hathon se 'munir' aur koi kaam na lete