ai ahl-e-wafa KHak bane kaam tumhaara
aaghaz bata deta hai anjam tumhaara
jate ho kahan ishq ke bedad-kahso tum
us anjuman-e-naz mein kya kaam tumhaara
ai dida o dil kuchh to karo zabt o tahammul
labrez mai-e-shauq se hai jam tumhaara
ai kash mere qatl hi ka muzhda wo hota
aata kisi surat se to paigham tumhaara
'wahshat' ho mubarak tumhein badmasti o rindi
juz ishq-e-butan aur hai kya kaam tumhaara
Ghazal
Ai ahl-e-wafa KHak bane kaam tumhaara
Wahshat Raza Ali Kalkatvi