ahl-e-zahir ko fann-e-jalwa-gari ne mara
ahl-e-baatin ko tawana-nazari ne mara
talKH thi maut magar zist se shirin-tar thi
us se puchho jise be-baal-o-pari ne mara
mundamil hote hue zaKHm hare hone lage
sae sae mein teri ham-safari ne mara
dasht-e-ghurbat ke shab-o-roz ki lazzat na mili
sar watan mein bhi bahut dar-ba-dari ne mara
ishq aur dast-e-talab aisi bhi kya majburi
shauq ko kawish-e-daryuza-gari ne mara
zaKHm-e-parina bhara hi tha ki ai sozan-e-haal
aur ek tir teri baKHiya-gari ne mara
dad-o-shamshir ne jab jab bhi Darana chaha
qahqaha shauq ki shorida-sari ne mara
sulh karna to zamane se hai aasan lekin
mujh ko 'zaidi' meri baaligh-nazari ne mara
Ghazal
Ahl-e-zahir ko fann-e-jalwa-gari ne mara
Ali Jawwad Zaidi