ahl-e-nazar ki aankh mein husn ki aabru nahin
yani ye gul hai kaghzi rang hai jis mein bu nahin
dil ko na ranj dijiye shauq se zabh kijiye
aap ki tegh tegh hai mera gulu gulu nahin
dushman o dost ke liye chahiye shukr-e-tegh-e-naz
kaun hai qatl-gah mein aaj jo surKH-ru nahin
aap se dil lagaun kyun jaur-o-sitam uThaun kyun
ab to sukun se kaam hai dard ki justuju nahin
bazm-e-suKHan mein ai 'rashid' naghme se mujh ko kaam kya
shair-e-shoKH-fikr hun mutrib-e-KHush-gulu nahin
Ghazal
Ahl-e-nazar ki aankh mein husn ki aabru nahin
Rasheed Rampuri