ahl-e-iman se na kafir se kaho
ai buto lekin KHuda-lagti kaho
gar milen yaran-e-rafta puchhiye
mar gae par kis tarah guzri kaho
paimalo ishq mein kyunkar kaTi
kohkan se sar-guzashte apni kaho
chashm-e-tar par dajla-o-jihun mein kya
abr si chha jae jo phabti kaho
sham-o-parwana jo puchhen soz-e-ishq
apni biti ya meri biti kaho
piT pichhe bad kaho ai aaino
ru-ba-ru us ke na munh-dekhi kaho
munh lapeTe gosha-e-marqad mein 'shad'
kyun paDe chup ho hai kaisa ji kaho
Ghazal
Ahl-e-iman se na kafir se kaho
Shad Lakhnavi