اردو हिंदी
Ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe | Shaahi Shayari
ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe

Ghazal

Ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe

Iqbal Mahir

;

ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe
bad-zaban ko hum zaban-dan-e-ajam kahte rahe

jabr-o-istibdad ko jud-o-karam kahte rahe
sabr-o-taat ko ilaj-e-dard-o-gham kahte rahe

hum ko har mahfil mein tha aadab-e-mahfil ka KHayal
ehtiraman har kisi ko mohtaram kahte rahe

chashm-poshi se riya-kari ko shah milti rahi
aib-poshi ko sharafat ka bharam kahte rahe

aarzu-e-mazhab-o-millat bhi rakhni thi zarur
nang-e-mimbar ko bhi hum shaiKH-e-haram kahte rahe

wo bhi nikle rahnumaon ke nuqush-e-kajrawi
jin ko rahi raste ke pech-o-KHam kahte rahe

barha dekha hai 'mahir' un ko maghmum-o-malul
hum jinhen parwurda-e-naz-o-niam karte rahe