اردو हिंदी
Ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan | Shaahi Shayari
ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan

Ghazal

Ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan

Mohammad Fakhrul Haq Noori

;

ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan
dard ke rishte juDe the tere mere darmiyan

ghair-mumkin tha fasilen faslon ki phandna
qismaton ke faisle the tere mere darmiyan

ek takallum ka talluq toDne se kya hua
aur bhi kuchh rabte the tere mere darmiyan

kya kahun manzil ki us ki samt bhi koi na thi
raste hi raste the tere mere darmiyan

tere dil ka man TuTe main ne kab chaha magar
aur bhi kuchh dil paDe the tere mere darmiyan

wasl ki sarshaariyon se jo na ho sakte the hal
aise bhi kuchh masale the tere mere darmiyan

samna tha ek to dariya-e-talatum-KHez ka
aur kuchh kachche ghaDe the tere mere darmiyan

tha safar darpesh jaane kitne 'nuri' sal ka
kaise kaise fasle the tere mere darmiyan