ahd-e-gum-gashta ki nishani hun
ek bhuli hui kahani hun
wo KHushi hun jo dard sulgae
aag jis se lage wo pani hun
ek aansu hun chashm-e-ishrat ka
zist ka ranj-e-shadmani hun
apni barbaadiyon pe yaad aaya
kitni aabaadiyon ka bani hun
sina-e-dasht par hun mauj-e-sarab
KHushk dariyaon ki rawani hun
aaina-KHana-e-zamana mein
aks apna hun apna sani hun
ek tabassum ki aas mein 'rahi'
kab se mahrum-e-shadmani hun

Ghazal
Ahd-e-gum-gashta ki nishani hun
Rahi Quraishi