aghyar chhoD mujh sen agar yar howega
shayad ki yar mahram-e-asrar howega
bujhega qadr mujh dil-e-ashufta-haal ki
phande mein zulf ke jo giraftar howega
be-fikr main nahin ki sanam mast-e-KHwab hai
kya kya bala karega jo bedar howega
pinhan rakha hun dard kun lohu ki ghunT pi
kahta nahin kisi sen ki izhaar howega
bazm-e-junun mein saghar-e-wahshat piya jo kui
ghaflat sen aql-o-hosh ki hushiyar howega
teri bhanwon ki tegh ke pani kun dekh dil
aTka hai is sabab ki nadi par howega
rangin na kar tun dil ka mahal naqsh-e-aish sen
gham ke tabar sen mar ki mismar howega
barja hai yar mujh pe agar mehrban hai
bulbul pe gul baghair kise pyar howega
jata nahin hai yar ki shamshir ka KHayal
malum yun hua ki gale haar howega
inkar mujh kun nin hai teri bandagi sati
yan kya hai balki hashr mein iqrar howega
mujh pas phir kar aawe agar wo kitab-ru
maktab mein dil ke dars ka takrar howega
sehn-e-chaman mein dekh tere qad ki rasti
har sard tujh salam kun KHamdar howega
us chashm-e-nim-KHwab ki dekhe agar bahaar
nargis chaman mein taKHta-e-diwar howega
us zulf-e-ambarin sen jo yak tar jhaD paDe
har KHub-ru kun turra-e-dastar howega
ai jaan mere pas sen yak-dam juda na ho
jina tere firaq mein dushwar howega
rakhta hai garche aaina faulad ka jigar
tir-e-nigah ke samne lachaar howega
mat ho shab-e-firaq mein be-tab ai 'siraj'
ummid hai ki subh kun didar howega
Ghazal
Aghyar chhoD mujh sen agar yar howega
Siraj Aurangabadi