agarche roz mera sabr aazmata hai
magar ye dariya mujhe tairna sikhata hai
ye kya ghuTan hai mohabbat ki pahre-dari mein
wo kaghazon pe khuli khiDkiyan banata hai
use pata hai kahan hath thamna hai mera
use pata hai kahan peD sukh jata hai
main us ki nazron ka kuchh is liye bhi hun qail
wo jis ko chahe use dekhna sikhata hai
Ghazal
Agarche roz mera sabr aazmata hai
Rana Amir Liyaqat