agarche mujh ko judai teri gawara nahin
siwae is ke magar aur koi chaara nahin
KHushi se kaun bhulata hai apne pyaron ko
qusur is mein zamane ka hai tumhaara nahin
tumhaare zikr se yaad aae kya ghaTa ke siwa
hamare pas koi aur istiara nahin
ye iltifat ki bhik apne pas rahne de
tere faqir ne daman kabhi pasara nahin
mera to sirf bhanwar tak safina pahuncha hai
tujhe to Dubne walon ne bhi pukara nahin
har ek rabt tere waste se tha warna
bhare jahan mein koi aashna hamara nahin
jo teri did ne baKHshe wahi hain zaKHm bahut
ab apne dil mein koi hasrat-e-nazara nahin
bana sakun jise jhumar tumhaare mathe ka
falak pe aaj bhi aisa koi sitara nahin
chalae jao 'qatil' apna karobar-e-wafa
jo is mein jaan bhi jae to kuchh KHasara nahin
Ghazal
Agarche mujhko judai teri gawara nahin
Qateel Shifai