agarche ishq mein aafat hai aur bala bhi hai
nira bura nahin ye shaghl kuchh bhala bhi hai
is ashk o aah mein sauda bigaD na jae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jala bhi hai
ye aarzu hai ki us bewafa se ye puchhun
ki mere be-maza rakhne mein kuchh maza bhi hai
ye kaun Dhab hai sajan KHak mein milane ka
kasu ka dil kabhu panw tale mila bhi hai
'yaqin' ka shor-e-junun sun ke yar ne puchha
koi qabila-e-majnun mein kya raha bhi hai
Ghazal
Agarche ishq mein aafat hai aur bala bhi hai
Yaqeen Inamullah Khan