agarche be-hisi-e-dil mujhe gawara nahin 
baghair tark-e-mohabbat bhi koi chaara nahin 
main kya bataun mere dil pe kya guzarti hai 
baja ki gham mere chehre se aashkara nahin 
hawas hai sahl magar is qadar bhi sahl nahin 
ziyan-e-dil to hai gar jaan ka KHasara nahin 
na farsh par koi jugnu na arsh par tara 
kahin bhi soz-e-tamanna ka ab sharara nahin 
KHuda kare ki fareb-e-wafa rahe qaem 
ki zindagi ka koi aur ab sahaara nahin
        Ghazal
Agarche be-hisi-e-dil mujhe gawara nahin
Gopal Mittal

