agar KHushi mein tujhe gungunate lagte hain
to log shahr se aansu bahane lagte hain
nikal ke aankh se lafzon mein aane lagte hain hain
miyan ye ashk hain yunhi Thikane lagte hain
guzar chuke hain kisi aks ki mayyat mein
hum aise log jo aaina-KHane lagte hain
to karne lagte hain ghusl-e-talash-e-misra-e-nau
hum apne aap ko jab bhi purane lagte hain
baghaur dekhen to yak-jast fasle pe hai tu
lagana chahen to sadiyan zamane lagte hain
shajar hun aur parindon se hai bahaar meri
ye mujh pe aaen to phal-phul aane lagte hain
karen to kya hamein amboh-e-KHwab rokta hai
kabhi jo soe huon ko jagane lagte hain
hum aaine mein tera aks dekhne ke liye
kai charagh nadi mein bahane lagte hain
Ghazal
Agar KHushi mein tujhe gungunate lagte hain
Ashfaq Nasir