agar is khel mein ab wo bhi shamil hone wala hai
to apna kaam pahle se bhi mushkil hone wala hai
hawa shaKHon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chand hail hone wala hai
asar ab aur kya hona tha us jaan-e-taghaful par
jo pahle besh o kam tha wo bhi zail hone wala hai
ziyaada naz ab kya kijiye josh-e-jawani par
ki ye tufan bhi rafta rafta sahil hone wala hai
hamin se koi koshish ho na pai kargar warna
har ek naqis yahan ka pir-e-kaamil hone wala hai
haqiqat mein bahut kuchh khone wale hain ye sada-dil
jo ye samjhe hue hain un ko hasil hone wala hai
hamare haal-maston ko KHabar hone se pahle hi
yahan par aur hi kuchh rang-e-mahfil hone wala hai
chalo is marhale par hi koi tadbir kar dekho
wagarna shahr mein pani to daKHil hone wala hai
'zafar' kuchh aur hi ab shoabada dikhlaiye warna
ye dawa-e-suKHan-dani to baatil hone wala hai
Ghazal
Agar is khel mein ab wo bhi shamil hone wala hai
Zafar Iqbal