afsurdagi aazurdagi pazhmurdagi be-kar hai
us pe hai jis ka tawakkul KHush hai beDa par hai
hausla ho azm ho mehnat ho aur ummid-war
aur kuchh us ke siwa kya zist mein darkar hai
jis ne samjha zindagi ko jang hai wo kaamyab
qabil-e-tahsin hai wo jo bar-sar-e-paikar hai
lanten aur zillaten ruswaiyan nakaamiyan
us ki qismat mein hai jo ki zist se bezar hai
jis ki KHushiyon ka sada 'hassan' ne rakkha KHayal
aaj meri jaan ke wo darpai aazar hai

Ghazal
Afsurdagi aazurdagi pazhmurdagi be-kar hai
Mohammad Hazim Hassan