اردو हिंदी
Ada-e-ishq hun puri ana ke sath hun main | Shaahi Shayari
ada-e-ishq hun puri ana ke sath hun main

Ghazal

Ada-e-ishq hun puri ana ke sath hun main

Ali Zaryoun

;

ada-e-ishq hun puri ana ke sath hun main
KHud apne sath hun yani KHuda ke sath hun main

mujawaran-e-hawas tang hain ki yun kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke sath hun main

safar shurua to hone de apne sath mera
tu KHud kahega ye kaisi bala ke sath hun main

main chhu gaya to tera rang kaT Dalunga
so apne aap se tujh ko bacha ke sath hun main

durud-bar-dil-e-wahshi salam-bar-tap-e-ishq
KHud apni hamd KHud apni sana ke sath hun main

yahi to farq hai mere aur un ke hal ke bich
shikayaten hain unhen aur raza ke sath hun main

main awwalin ki izzat mein aaKHirin ka nur
wo intiha hun ki har ibtida ke sath hun main

dikhai dun bhi to kaise sunai dun bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hun fana ke sath hun main

ba-hukm-e-yar lawen qabz karne aati hai
bujha rahi hai? bujhae hawa ke sath hun main

ye sabirin-e-mohabbat ye kashifin-e-junun
inhi ke sang inhin auliya ke sath hun main

kisi ke sath nahin hun magar jamal-e-ilaha
teri qism tere har mubtala ke sath hun main

zamane bhar ko pata hai main kis tariq pe hun
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke sath hun main

munafiqin-e-tasawwuf ki maut hun main 'ali'
har ek asil har ek be-riya ke sath hun main