ada-e-dil-fareb-e-sarw-qamat
qayamat hai qayamat hai qayamat
shahid-e-KHanjar-e-ulfat mua nahin
salamat hai salamat hai salamat
na karna ji kun qurban tujh qadam par
nadamat hai nadamat hai nadamat
jamaat mein pari-ruyon ki tujh kun
imamat hai imamat hai imamat
'siraj' ab aish ke gulshan ka pani
malamat hai malamat hai malamat

Ghazal
Ada-e-dil-fareb-e-sarw-qamat
Siraj Aurangabadi