اردو हिंदी
Ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi | Shaahi Shayari
ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi

Ghazal

Ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi

Jaleel Manikpuri

;

ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi
nigah-e-mast se duniya KHarab ho ke rahi

ghazab tha un ka talawwun ki chaar hi din mein
nigah-e-lutf nigah-e-itab ho ke rahi

teri gali ki hawa dil ko ras kya aati
hua ye haal ki miTTi KHarab ho ke rahi

wo aah-e-dil jise sun sun ke aap hanste the
KHadang-e-naz ka aaKHir jawab ho ke rahi

paDi thi kisht-e-tamanna jo KHushk muddat se
rahin-e-minnat-e-chashm-e-pur-ab ho ke rahi

hamari kashti-e-tauba ka ye hua anjam
bahaar aate hi gharq-e-sharab ho ke rahi

kisi mein tab kahan thi ki dekhta un ko
uThi naqab to hairat naqab ho ke rahi

wo bazm-e-aish jo rahti thi garm raaton ko
fasana ho ke rahi ek KHwab ho ke rahi

'jalil' fasl-e-bahaari ki dekhiye tasir
giri jo bund ghaTa se sharab ho ke rahi