achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai
dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai
kuchh mafhum samajh kar aankhen bol uTThin
sargoshi to yunhi zer-e-lab hoti hai
koi masiha shayad us ko chhu guzra
dil ke andar itni raushni kab hoti hai
tare TuT ke daman mein gir jate hain
jab mehman yahan ek duKHtar-e-shab hoti hai
ek be-dagh dupaTTe mein pakiza nur
kitni ujli us ki namaz mein chhab hoti hai
giri paDi dekhi hai saDak par tanhai
pichhle pahar ko shahr ki nind ajab hoti hai
aksar main ne qabristan mein ghaur kiya
apni miTTi apne hath mein kab hoti hai
ab lagta hai ek dil bhi hai sine mein
pahle kuchh taklif nahin thi ab hoti hai
ishq kiya to apni hi nadani thi
warna duniya jaan ki dushman kab hoti hai
qadam qadam par hum ne aap se nafrat ki
aisi mohabbat dil mein kisi ke kab hoti hai
jaise ek jannat ki neamat mil jae
mere liye to ghar ki faza hi sab hoti hai
Dubne wala phir upar aa jata hai
kabhi kabhi dariya ki mauj ghazab hoti hai
rashk se mera chehra takti hai duniya
jaan ki dushman us ki surKHi-e-lab hoti hai
Ghazal
Achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai
Fay Seen Ejaz