اردو हिंदी
Abr-para hun koi dam mein chala jaunga | Shaahi Shayari
abr-para hun koi dam mein chala jaunga

Ghazal

Abr-para hun koi dam mein chala jaunga

Gyan Chand Jain

;

abr-para hun koi dam mein chala jaunga
naqsh-bar-ab hun lahron mein sama jaunga

dhaar par apne taqqul ko chaDha jaunga
rasm-e-azadi-e-afkar uTha jaunga

ye aqaed hain chhalawe unhen ifsha kar de
mani-e-simiya duniya ko bata jaunga

sar mein saudon ke buna karta hun tane bane
ahl-e-tadbir ko chakkar mein phansa jaunga

kaise tarsil karun sama-e-yaran tak
shahr-ashob parindon ka suna jaunga

munh ko be-ruh kitabon se basirat na mili
shahr se jate hue sab ko jala jaunga