abr kya ghir ghir ke aaya khul gaya 
bas sabaat-e-bahr-e-duniya khul gaya 
raaz-e-dil kitna chhupaya khul gaya 
haal is daulat-sara ka khul gaya 
husn-e-ariz aarzi tha khul gaya 
KHat ke aate hi lifafa khul gaya 
aankh se rumal sarka baad-e-marg 
chashm-e-tar ka aaj parda khul gaya 
tum jo bole ho gaya sabit dahan 
baaton hi baaton mein uqda khul gaya 
kaT gaya sar hal hui mushkil meri 
naKHun-e-KHanjar se uqda khul gaya 
be-zabani baaten sunwane lagi 
galiyon par munh tumhaara khul gaya 
tha qalam-band apni aazadi ka haal 
KHat ko jab us ne lapeTa khul gaya 
KHat pe KHat lae jo murgh-e-nama-bar 
bole in murghon ka Darba khul gaya
        Ghazal
Abr kya ghir ghir ke aaya khul gaya
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

