abr ka TukDa ho jaise chand par Thahra hua
yun tere mukhDe pe zulfon ka ghana saya hua
qurb ki lazzat se aankhon mein ghaTa si chha gai
aur ye dil hai sharabi ki tarah bahka hua
dil samajhta hai teri raftar ke uslub ko
tu abhi aaya nahin aur hashr sa barpa hua
aashnai ki hawa dil ke chaman mein kya chali
har gul-e-manzar nazar aaya mujhe dekha hua
ab kisi gham ka sitara bhi nahin raushan 'nadim'
kya meri aankhon mein koi chand hai nikla hua

Ghazal
Abr ka TukDa ho jaise chand par Thahra hua
Salahuddin Nadeem