abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai
jamaw donon mahazon pe lashkaron ka hai
kisi KHayal kisi KHwab ke siwa kya hain
wo bastiyan ki jahan silsila gharon ka hai
ufuq pe jaane ye kya shai tulu hoti hai
saman ajib pur-asrar paikaron ka hai
ye shahr chhoD ke jaana bhi marka hoga
ajib rabt imarat se pattharon ka hai
wo ek phul jo bahta hai satah-e-dariya par
use KHabar hai ki kya dukh shanawaron ka hai
utar gaya hai wo dariya jo tha chaDhao par
bas ab jamaw kinaron pe pattharon ka hai
Ghazal
Abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai
Asad Badayuni