اردو हिंदी
Abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main | Shaahi Shayari
abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main

Ghazal

Abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main

Akhtar Usman

;

abhi to par bhi nahin taulta uDan ko main
bila-jawaz khaTakta hun aasman ko main

mufahamat na sikha dushmanon se ai salar
teri taraf na kahin moD dun kaman ko main

meri talab ki koi chiz shash-jihat mein nahin
hazar chhan chuka hun teri dukan ko main

nahin qubul mujhe koi bhi nai hijrat
kaTaun kyun kisi balwe mein KHandan ko main

tujhe naKHil-e-falak se paTaKH na dun aaKHir
tere samet gira hi na dun machan ko main

ye kaenat mere samne hai misl-e-bisat
kahin junun mein ulaT dun na is jahan ko main

jise pahunch nahin sakta falasfa ka shuur
yaqin ke sath milata hun us guman ko main