abhi to mausam-e-na-KHush-gawar aaega
phir is ke baad payam-e-bahaar aaega
KHulus-e-ahd-e-wafa sazgar aaega
kabhi to marhala-e-e'tibar aaega
jis anjuman mein dilon ke qarar luTte hain
us anjuman mein pahunch kar qarar aaega
lab-e-shagufta-o-mai-pash par shagufon par
karoge ghaur jahan tak nikhaar aaega
yahi hai bazm-e-tarab-afrin to jata hun
ye chaara-gar ne kaha tha qarar aaega
sawal-e-besh-o-kam-e-mai nahin magar saqi
kabhi tujhe bhi shuur-e-shumar aaega
pukarne pe jab aaya to tera diwana
kisi bhi nam se tujh ko pukar aaega
nisar-e-husn-e-mohabbat rahi hai dekhoge
kali ke sath hi shaKHon pe KHar aaega
jo hai mizaj-e-bahaar-e-chaman se na-waqif
bara-e-sair-e-chaman bar bar aaega
jinhen qayas-o-shawahid se wasta hai unhen
yaqin-e-gardish-e-lail-o-nahaar aaega
ye puKHta-kar taghazzul KHayal ke bal par
ghazal ke shar-e-qafas mein guzar aaega
Ghazal
Abhi to mausam-e-na-KHush-gawar aaega
Shaad Aarfi