abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna 
bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna 
KHuda hi jaane ki aane wali ruton mein kya ho jahan ki haalat 
abhi ye naghme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna 
ye dekhna hai ki dam hai kitna ghanim lashkar ke bazuon mein 
safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uThae rahna 
yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannaTa chiKHta hai 
ujaD sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna 
abhi hai KHatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali mein 
'shakil' aankhen na band karna 'shakil' KHud ko jagae rahna
        Ghazal
Abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna
athar shakeel

