abhi niklo na ghar se tang aa ke
abhi achchhe nahin tewar hawa ke
falak se main chala shabnam ki surat
zamin ne rakh diya patthar bana ke
mere zaKHmi labon par kuchh nahin hai
siwae ek lafz-e-be-nawa ke
hamari KHamushi ne laj rakh li
nahin to hath kaT jae sada ke
badan KHushbu ka larzan KHauf se hai
hawa ko raaz-e-dil apna suna ke
saron ke dip hain nezon pe raushan
main kaise dekhun manzar karbala ke
tumhaare qatl ki KHabren chhapi hain
'firaq' aKHbar to dekho uTha ke
Ghazal
Abhi niklo na ghar se tang aa ke
Firaq Jalalpuri