abas hi mahw-e-shab-o-roz wo dua mein tha
ilaj us ka agar dard-e-la-dawa mein tha
ye aur baat ki wo tishna-e-jawab raha
sawal us ka magar gunjta faza mein tha
hamein KHabar thi ki us ka jawab kya hoga
magar wo lutf jo izhaar-e-muddaa mein tha
yaqin karen ki yahin koi jaise kahta ho
ki jo bhi dekha suna tha wo sab hawa mein tha
hum apne-ap ko kya kuchh nahin samajhte the
magar khula ki safar KHwab aur KHala mein tha
KHud apne aks-e-gunah ka tha samna us ko
tamam umr wo aaina-e-saza mein tha
Ghazal
Abas hi mahw-e-shab-o-roz wo dua mein tha
Farrukh Jafari