ab ye bachche nahin bahlawe mein aane wale 
kal bhi aae the idhar khel dikhane wale 
ek muddat se KHamoshi ka hai pahra har-su 
jaane kis or gae shor machane wale 
hu ka aalam jo tha pahle wo hai qaem ab bhi 
ghumte thak gae basti ko jagane wale 
ishq ki aag ne jalwaon ko jawan rakkha hai 
log baqi hain abhi naz uThane wale 
us ka har tir-e-nazar dil mein utar jata hai 
yun to dekhe hain bahut hum ne nishane wale 
jis ko karna tha yahan kaam wo to kar bhi gae 
rat-jaga karte rahe Dhol bajaane wale 
ab to sahra mein samundar ka sakun dar aaya 
jab se anqa hue hain KHak uDane wale
        Ghazal
Ab ye bachche nahin bahlawe mein aane wale
Kausar Mazhari

