ab yahan logon ke dukh-sukh ka pata kya aae
band hon ghar to makinon ki sada kya aae
Dubte din ki jilau mein na sukun hai na faragh
shafaq-e-sham se chehron pe ziya kya aae
sard sinon mein panapte hi nahin dard ke bij
in KHarabon pe barasne ko ghaTa kya aae
dur ho kaise tere jism teri jaan ki ghuTan
tang be-rauzan-o-dar ghar mein hawa kya aae
kho chuke lutf-e-sahar-KHezi garan KHwab-e-makin
subh-dam band darichon mein saba kya aae
KHushk patte hain ki jhaDte hi nahin peDon se
kaise tabdil ho rut rang naya kya aae
garm hangama kare kaun ragon mein 'shahin'
KHushk nadiyon mein koi mauj-e-bala kya aae
Ghazal
Ab yahan logon ke dukh-sukh ka pata kya aae
Javed Shaheen