ab wafa rang-e-tamasha koi chehra na raha
apni aankhon ki chamak par bhi bharosa na raha
hum to aae the mulaqat karenge tujh se
ye KHabar kab thi ki tu apne hi jaisa na raha
log kahte hain ki har chiz samajhti hai hamein
main bahut KHush hun ki ab koi adhura na raha
us ke milne ki KHushi us ke bichhaDne ka qalaq
ek gardish thi ki wo aa gaya Thahra na raha
us ne kaghaz ko bhi phulon ki tarah chum liya
pesh KHushbu hi karen dusra tohfa na raha
Ghazal
Ab wafa rang-e-tamasha koi chehra na raha
Iqbal Ashhar Qureshi