ab to nahin aasra kisi ka
allah hai apni bekasi ka
o aankh badal ke jaane wale
kuchh dhyan kisi ki aajizi ka
bimar ko dijiye tasalli
ye waqt nahin jali-kaTi ka
aapas mein hui jo bad-gumani
mushkil hai nibah dosti ka
baalin se koi uTha ye kah kar
anjam ba-KHair ho kisi ka
gham ka bhi qayam kuchh na Thahra
rona kya roiye KHushi ka
pahuncha hi diya kisi gali tak
allah-re zor be-KHudi ka
aaKHir ko sharab rang lai
chhupta nahin raaz mai-kashi ka
andhera 'hafiz' ho raha hai
bujhta hai charagh zindagi ka
Ghazal
Ab to nahin aasra kisi ka
Hafeez Jaunpuri