ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega
jo ruTh kar gaya hai manane bhi aaega
ban jaengi qarar yahi be-qarariyan
gham de gaya hai jo wo miTane bhi aaega
rakkhega rakhne wala meri be-kasi ki laj
lutf-o-karam ki shan dikhane bhi aaega
sunta nahin jo ab mera ahwal waqai
ek rose le kar apne fasane bhi aaega
aatash-bajaan hain KHabar se be-fikr-o-mutmain
jis ne lagai hai wo bujhane bhi aaega
us ko KHulus-e-dil ki kashish khinch laegi
aaega to wo aane bahane bhi aaega
ru-posh ho sakengi kahan KHud-numaiyan
aaina-ru jamal dikhane bhi aaega
nikhregi ye faza-e-mukaddar bhi ai 'rishi'
mahaul ka mizaj Thikane bhi aaega

Ghazal
Ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega
Rishi Patialvi