ab na kuchh sunna na sunana raat guzarti jati hai
KHatm hai ab be-kahe fasana raat guzarti jati hai
jaldi kya hai barq-e-tabassum dhuan banega KHud aansu
din ho le phir aag lagana raat guzarti jati hai
tasht-e-tilai mein suraj ke ek ek ashk parakh lena
waqt-e-sahar ilzam lagana raat guzarti jati hai
rah nahin sakte mujrim aansu qaidi hababi shishe mein
waqt pe chhalkega paimana raat guzarti jati hai
bistar par surKH angaron ke dhuen ki chadar oDhe hue
sota rahta hai parwana raat guzarti jati hai
zinda KHun ke aansu hain ye thoDi der taDapne de
waqt-e-sahar miTTi mein milana raat guzarti jati hai
shabnam se phulon ke kaTore KHali ho jaenge 'siraj'
ashkon se bhar lo paimana raat guzarti jati hai
Ghazal
Ab na kuchh sunna na sunana raat guzarti jati hai
Siraj Lakhnavi