ab na bahal sakega dil ab na diye jalaiye
ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaiye
us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke
main ne kaha ki chhoDiye ab unhen bhul jaiye
kaise nafis the makan saf tha kitna aasman
main ne kaha ki wo saman aaj kahan se laiye
kuchh to suragh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka
sang-e-jamal-e-yar par naqsh koi banaiye
koi sharar nahin bacha pichhle baras ki rakh mein
ham-nafsan-e-shoala-KHu aag nai jalaiye
Ghazal
Ab na bahal sakega dil ab na diye jalaiye
Ahmad Mushtaq