ab mujhe gulshan se kya jab zer-e-dam aa hi gaya
ek nasheman tha so wo bijli ke kaam aa hi gaya
sun maal-e-soz-e-ulfat jab ye nam aa hi gaya
shama aaKHir jal-bujhi parwana kaam aa hi gaya
talib-e-didar ka israr kaam aa hi gaya
samne koi ba-husn-e-intizam aa hi gaya
koshish-e-manzil se to achchhi rahi diwangi
chalte-phirte un se milne ka maqam aa hi gaya
raaz-e-ulfat marne wale ne chhupaya to bahut
dam nikalte waqt lab par un ka nam aa hi gaya
kar diya mashhur parde mein tujhe zahmat na di
aaj ko hona hamara tere kaam aa hi gaya
jab uTha saqi to waiz ki na kuchh bhi chal saki
meri qismat ki tarah gardish mein jam aa hi gaya
husn ko bhi ishq ki zid rakhni paDti hai kabhi
tur par musa se milne ka payam aa hi gaya
der tak bab-e-haram par ruk ke ek majbur-e-ishq
su-e-but-KHana KHuda ka le ke nam aa hi gaya
raat bhar mangi dua un ke na jaane ki 'qamar'
subh ka tara magar le kar payam aa hi gaya
Ghazal
Ab mujhe gulshan se kya jab zer-e-dam aa hi gaya
Qamar Jalalvi